Monday, October 28, 2013

quran aur hadis dono ko thamna zarori

sahih aur hidyat ke raste par chalne ke liye Quraan aur hadith dono ko samajhna padhana aur amal karna zaruri he.
quraan me jinn bato ka hukam allah ne diya he unhi baato ki tashrih hadees me byan ki gai he.
islam ki buniyad in dono par he.
ye wo cheez he jiski misal kasoti jaise he kasoti us cheez ko kehte he jis par sunhar sone ko ghees kar check kar ke batata he ke ye sona asli he khar he ya nakli he khota he.

Thursday, September 26, 2013

bukhari sharif kiya he ?

bhukhari sharif ek hadis ki ktab he jis ki kai jild part he.
Hadis kiya he?
hadis us baat ko kehte he jo paighamber e islam hazrat muhmmad sallahualyh wasllam ne kahi he yani aap muhmmad sa. ki farman aur bato ko hadis kehte he.
Hadis yani muhmmad s.a.w. ki bate jin kitabo me buzurgo ne jama ki he un kitabo ko hadis ki ktab kehte he.
Bukhari sharif in hi kitabo me se ek kitab he.
Bukhari sharif ko bhukari sahrif isliye kehte hain kunke imam bukhari ne in hadis ko logo se maloom kar kar ke muhammad s.a.w. ki bato ko yani hdis ko ek kitab me jama kardiya jise bukhari sharif ka nam diya gaya.
Hdis ki kai aur kitabe bhi he jaise sahih muslim, tirmizi mishkawt, ibnemaja, etc.

Wednesday, May 1, 2013

sahi bukhari hindi me

Q.    kya sahih bukhari ka tarjuma hindi me mil jaye ga?
Ans. Ji han blikul sahih bukhari ka tarjuma ab hindi me bhi mojud hai.