sahih aur hidyat ke raste par chalne ke liye Quraan aur hadith dono ko samajhna padhana aur amal karna zaruri he.
quraan me jinn bato ka hukam allah ne diya he unhi baato ki tashrih hadees me byan ki gai he.
islam ki buniyad in dono par he.
ye wo cheez he jiski misal kasoti jaise he kasoti us cheez ko kehte he jis par sunhar sone ko ghees kar check kar ke batata he ke ye sona asli he khar he ya nakli he khota he.